Monday, June 2, 2008

kuch aur....

"Ya rab na woh samhje hain na samjhenge meri baat,
de aur dil unko jo na de mujhko zubaan aur"
Galib ke kuch shair kaash.... keh paate jo kuch mere dil mai hai
Ye aandhi kahan se aai,... kahan jaige aur le jaiegi
Har lafz nashtar sa lagta hai,.... Har baat pe ek qatra jalta hai
Yeh khoon kahan se laoon,.... jo aansoon main na badal saken,
Youn to baat kuch bhi nahi,... Sirf ek zindagi ka sawal hai
Yoon hi kitne din kate kuch bhi to hisaab nahi,
kiya kiya kab kab hua kuch bhi to yaad nahi
Ye waqt agar faani hai to yaaden kyoun reh jaati hai,
Inka koi kaam nahi to itna dil kyou dukhati hain.
jo hota zara bhi zor khud pe itna kuch na hone dete
Hum khush rehta, khud ko itna to na rone dete.
Kitna bekas insaan hai........... Yeh kashmakash kyon itni hai,
Ae raat mujh ko samet le.... Kabhi kisi ko pata na chale.

No comments:

Post a Comment